Tuesday, November 13, 2007

TUM NA SAMJHE THE............

Tum na samjhe the baat itni si,
Tumhari aas rahe har pal ye khwaish thi kitni si.

Is aas ke saaye me beette the pal,
Umeed ki dor se bandha tha har kal.

Kachchi thi wo dor use tootna hi tha,
Age jo badi chali manzil to hame peecha chootna hi tha.

Kal ki wo sunehri patang kho gayi kuch aise,
Sagar se chin gaya ho uska kinaara jaise.

Raahein hain anjaan,bas manzil hi nahi hai,
Lehron ka rukh kahin hai aur sahil kahin hai.

Baatein hai unginat, par shabd nahi hain,
Har pal hai soona , fir bhi waqt nahi hai.

Na hi hai koi aas aur na hi bacha koi haq,
Na vishwaas ka nishaan or na hi koi shaq.

Hans rahe hain hum par aankhen hai nam,
Anjaan se lamhon me nishabd se hain hum.

Wo samete hue lamhe,wo pyari yadein sab choot rahein hain,
Gaanthon se bhare vishwaas ke dhaage ab toot rahein hain.

Wo apne se lamhe ho rahe hai paraye saare,
Itni door tak a gaye the hum fir bhi hain hare…..

My new blog

 Never had i thought i will be into reading again.But thanks 2020 and boredom, here we are. Well, i did a thing- i started documenting my th...