
Toote dil ko dard jaisa musafir nahi milta,
Wo kichhad hi hai jisme har kamal hai khilta…
Milengi hume manzil is jahaan ke paar,
Hogi haunslon ki jeet aur bewafai ki haar.
Hazaaron wo sapne,beech me the jo choote,
Wo umeedon ke jahaaz ,samundra paar lagne se pehle hi the jo toote.
Wo neela gagan,wo timtimaate sitaare,
Wo unjaan lamhe,jab mile chaahton ko naye se kinaare.
Wo humsafar humara,jeene ka sahara,
Roshan wo samaa,rangeen har nazara.
Chaahtein ab alag thi,thikaana alag tha,
Wo rishta zameen tha ,wo rishta falak tha.
Ek sailaaab jo aaya,dooba wo sapna,
Ho gaya pal me paraaya,jise maana tha apna.
Aur ab hai dard aur ranjish ka saaya,
Jisne har pal akelepan ke ehsaas se hai bachaaya.
Ab hai ek mukaam jise paana hai humko,
Hum nahi hai toote,duniyo ko ab bhi dikhana hai humko.
Ab dard ka alam hi hai saathi hamaara,
Jiski ungli thaame,milega ab kinaara…………
sounds poetic...i suppose..:)
3 comments:
its gr8 yaar.. i liked it more than the ones in english, its more expressive
m speechless...do write more poems in hindi !!!
PS: mansi..wen r u givin me hindi classes???
ohk..that means hindi passed..thanx..oh,nytime vikas...:)
Post a Comment