Wednesday, March 7, 2007

Ek Atoot Rishta....




Ek pyara sa rishta jo hai sirf apna,
Haqeeqat na sahi,dekha to milke ek sundar sapna.
Dooba rehta hoon har pal khayalon me tere,
Wo lamhe,wo pal jinko samete beette hain din raat mere.
Sochta hun jab tum na the tab bhi khush the hum,
Jab muskurahaton ke kono me chupe the gam.
Par ab to muskurahaton se hai choota har naata,
Hasne ki har koshish ka nishaan ,yaadon ke lehron se hai mit jaata.
Aur in lehron me behte jaate hain hum,
Saahil ki talaash me kuch anjaan gehraiyon me khud ko pate hain hum.
Kyunki tumse hi seekha hai humne gum me muskuraana,
Ye muskurahat hi to hai tumhe har pal yaad rakhne ka bahaana.
Main jaanta hoon tumhari har majboori,
Wo unkahe shabd, jinki wajah se hai ye doori.
Ehsaas hai mujhe kyun dil milte milte reh jate hain,
Kyun palkon ke ghere me simte aanson mujhe dekhte hi beh jate hain.
Jaanta hoon main ki tum bhi kahin baithi ho gumsum,
ki har pal na chahte hue bhi mujhe hi sochti ho tum.
Yakeen hai mujhe ki tum bhi roz us andhere ka saamna karti ho,
Waqif hun main,kaise tum roz jeekar bhi marti ho.
Samajhta hoon main ab doori hi hai mera naseeb,
Zehen me ata hai khayaal ki main hoon tum bin kitna garib.
Tumhaara diya har ek gam hai har wo nazraana,
Jise samete rakhte hue tumse kiye har vaade ko hai nibhaana.
Par chehron ki bheed me sab kuch thehar jaata hai,
Jab tumhaara wo rota hua chehra saamne aata hai.
Aur har gam se ladkar bhi main ek gam se haar jata hoon,
Jab tumhe mere liye har pal bechain aur pareshaan pata hoon.

No comments:

My new blog

 Never had i thought i will be into reading again.But thanks 2020 and boredom, here we are. Well, i did a thing- i started documenting my th...