Friday, March 9, 2007

unkahi daastaan.......


Arzoo hai yahi is dil me mere,
Ki ho poore saare sapne tere.
Khush hoon main ki tujhe mila wo pyara sa saath,
Khushnaseeb hai wo,jisne thaama hai tera haath.
Par beech majdhaar me khud ko paata hoon main,
Andhera hi chaaron or,jahan bhi nazar uthaata hoon main.
Ek nami si hai aankhon me,par wo teri palkon ke motiyon si keemti nahi,
Par is gam ke chalte majboor hoon main,ki un motiyon pe ab mera koi haq nahi.
Ek pal me hanste hain,duje me rote hain hum,
Teri khushiyon ki aadh me bhi ye zaalim gam na hote hain kam.
Meri har karwat ke saath toot rahe hain wo sapne,
Jo poora to door,ab rahe hi nahi apne.
Akele hi andhere se ladh raha hoon har pal,
Kyunki dekhna hai baaki wo roshni bharaa kal.
Jab dil pe patthar rakhkar karunga teri widaayi,
Ek hi to hai sahaara jeene ka ki maine apni dosti poori tarah nibhaayi.
Jab hoga wo tere saath beeta har ek pal paraaya,
Widaayi hogi un ret ke mehlon ki jo main kabhi tujhe dikha na paaya.
Kal se tere sapne kisi aur ke honge,
Aur teri dosti ke meethe pal ek beete hue daur ke honge.
Hai bas yahi gujaarish ki rahe tera chehra sadaa khilkhilata,
Tere jeevan ke akaash me rahe hamesha har taara timtimaata.
Us akaash ke saaye me rahoon main har pal,
Aur aaye meri veeraan zindagi mein bhi ek sundar sa kal.
Jise thaame kat jaaye wo lamhe anjaan,
Aur fir se is jeevan ka maqsad ban jaaye kisi ki muskaan……..


1 comment:

dawar said...

ye ankahi daastan aapne bahut hi ache andaaz mein kahi hai......
isme likhi ek ek baat mein gahrai hai jise naapne ke liye usme doobna zaroori hai...par tune bina doobe use bahut achi tarah naapa hai.....
full marks to u...

My new blog

 Never had i thought i will be into reading again.But thanks 2020 and boredom, here we are. Well, i did a thing- i started documenting my th...